Pages

Monday 6 February 2017

How to make a cancelled cheque? and Use of cancelled cheque.

Welcome friends.
Iss article me aap jannenge ki cancelled cheque kya hota hai, ise kaise banate hain, aur cancelled cheque ka use kis kis jagah par hota hai.

1. Cancelled cheque kya hota hai?
Cancelled cheque ek mormal cheque hi hota hai jis par doh line ke bich "cancelled" likha rahta hai.

2. Cancelled cheque kaise banate hai?
Ise banane ke liye aapke pass ek blank cheque hona chahiyee jis par kuch bhi na likha ho. Agar aapke pass cheque nahi hai to aap apne bank me request kar sakte hai aur aapko cheque book kuch hi hafte me mil jayega. Aur agar aapka internet banking hai to aap wahan se bhi cheque book ka request bhej sakte hain. Cancelled cheque banane ke liye aapko simply cheque par doh cross line draw karna hai aur dono line ke bich me capital letters me cancelled likh dena hai. Aur kisi bhi jagah par kuch bhi nahi likhan hai. Iss tarah se aap ek cancelled cheque bana sakte hai.

3. Cancelled cheque ka use kis kis jagah par hota hai?
Iska use jyadatar payments receive karne me kiya jata hai. Aise bahut sare company hai jo payment dene se pahle cancelled cheque submit karne bolta hai taki wo bank details ko varify kar sake.
Agar aap affiliate marketing karte hai to aapko pata hi hoga ki register karte time aapko cancelled cheque ka scan copy upload karna padta hai, iske bina aap payment apne bank account me transfer nahi kar sakte.

_____________________________________________

1 comment: